qaseeda-e-mairaj (Part 2)

Hafiz Tahir qadri


You need to have the Flash Player installed and a browser with JavaScript support.


Description

Beautiful Qasida Mairaj written by AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (RaziAllahu Ta'ala Anhu) recited in QTV Mehfil of Shab-e-Meiraj 2008
LYRICS PART 3

Huwa yeh aqir ke ek bajra tamawwuje behr hu mein ubhra
Dana ki godi main Unko (S.A.W) laykar fana ke langar uthadiye thay
Kise mile ghat ka kinara kidhar se guzra kahan utara
Bhara jo misl e nazar tarara woh apni ankhon se khud chupay thay
Uthay jo khasr e dana ke parday koi khabar day to kya khabar day
Wahan to jahi nahin doi ki na keh ke woh bhi na thay aray thay
Woh bagh kuch aisa rang laya ke ghuncha o gul ka farq uthaya
Girah mein kaliyoun ki bagh phoolay guloun ke tukmay lagay howay thay
Muheet o markaz mein farq mushkil rahay na fasil khutoot e wasil
Kamaanain Hairat mein sar jhukaay Ajeeb Chakkar mein dairay thay
Hijab uthnay mein lakhon parday har ek parde mein lakhon jalway
Ajab ghadi thi ke wasl o furqat janam ke bichday galay milay thay
Zabanain sukhi dikha kay mojain tadap rahi theen ke pani paein
Bhanwar ko ye zauf tishnagi tha ke halqay aankhon main padgaay thay
Wohi hai Awwal Wohi hai Akhir Wohi hai Batin Wohi hai Zahir
Usi Kay Jalway Usi say milnay Usi say Uski Taraf Gaye Thay
Kaman e Imkan kay jhootay nukhto tum Awwal Aakhir kay phair main ho
Muheet ki chaal say to pucho kidhar se Aaye kidhar gayay thay
Udhar say theen nazr e sha namazain idhar say inam e Khusrawi main
Salam o Rehmat kay har gundh kar Guloo ay Pur Noor main padhay thay
Zaban ko Intizar e Guftan to Gosh to hasrate Shuny dan
Yahan jo kehna tha keh lya tha jo bat sun ni thi sun chukay thay
Woh Burj e batha ka mah para behisht ki sair ko sidhara
Chamak pe tha khuld ka sitara ke is khamar ke Qadam gaye thay
Suroor Maqdam Ki Roshni thi ke tabishoun say mahay Arab Ki
Jinan ke Gulshan thay jhad farshi jo phool thay sab kanwal banay thay
Tarab ki nazish ke han lachakiay adab woh bandish kay hil na sakiye
Yay joshe ziddayn tha ke poday kasha kashay arrah kay talay thay
Khuda ki khudrat ke chand haq kay karodoun manzil main jalwah kar kay
Abhi Na taroun ki chaoon badly kay noor kay tadkay Aa liye Thay
Nabi e Rehmat (S.A.W) Shafi e Ummat Raza pay Allah ho Inayat
Usay bhi in khal atoun say hissa jo khas Rehmat kay wan batay Thay
Sanaay Sarkar (S.A.W) hai wazeefa qubool e Sarkar (S.A.W) hai Tamanna
Na Shairi ki hawas na parwa rawi thi kya kaisay qafiyay thay

Comments

Be the first to comment

Sign in or sign up to post comments.

Video details:

Share Video

Share Video Share Video Share Video Share Video Share Video Share Video Share Video Share Video